Asim Wasti

diya nahin hai mujhe chhup-chhupa ke rone tak

Asim Wasti

1958
diyā nahīñ hai mujhe chhup-chhupā ke rone tak
nazar meñ us ne rakhe mere ghar ke kone tak
maiñ kyā batā.ūñ ki biite haiñ kyā kaḌe mausam
shadīd karb se guzrā huuñ sañg hone tak
vo raushnī kī tarah tez tez chaltā hai
guzar na jaa.e kahīñ aañkh meñ samone tak
koī karegā nahīñ dekh-bhāl phūloñ kī
sab ehtimām-e-bahārāñ hai biij bone tak
tabāh to nahīñ kartā tamām niiñd mirī
mujhe ye dard jagātā hai sirf sone tak
kahāñ vo maslak-e-pākīzgī rahā 'āsim'
hai ab to mashq-e-vuzū dast-o-pā ko dhone tak
Top Urdushayar.com