ye nahīñ ki vo karam parvarī kartā hī nahīñ
dil vo TuuTā huā bartan hai ki bhartā hī nahīñ
ek uljhan hai ki baḌhtī hī chalī jaatī hai
ik tamāshā hai ki āñkhoñ se utartā hī nahīñ
ik tire hijr kī mī.ād ki kaaTe na kaTe
ik tire vasl kā lamha ki Thahartā hī nahīñ
dosto laao koī kashtī-e-nūh-e-ummīd
ab ke paanī vo chaḌhā hai ki utartā hī nahīñ
ashk-e-ḳhūn-e-dil-e-vahshī dabe paañv vaalā
ik musāfir hai ki palkoñ se guzartā hī nahīñ
umr-bhar dete rahe haiñ tujhe tāvān-e-vafā
sūd-dar-sūd tirā qarz utartā hī nahīñ