na tanhā nastarīn o nastaran se ishq hai mujh ko
fidā-kār-e-chaman huuñ kul chaman se ishq hai mujh ko
usī kī god meñ paltī rahī hai zindagī merī
muqaddas vādi-e-gañg-o-jaman se ishq hai mujh ko
mohabbat hai azal ke din se shāmil merī fitrat meñ
bilā tafrīq shaiḳh o barhaman se ishq hai mujh ko
agar chehre hoñ afsurda to jiine kā mazā kyā hai
urūs-e-zindagī ke bāñkpan se ishq hai mujh ko
samajhtā huuñ use bhī ek manzil rāh-e-himmat kī
purānā halqa-e-dār-o-rasan se ishq hai mujh ko