Anwar Sabri

tasawwur ke sahaare yun shab-e-gham KHatm ki maine

Anwar Sabri

1896-1985
tasavvur ke sahāre yuuñ shab-e-ġham ḳhatm kī maiñ ne
jahāñ dil kī ḳhalish ubhrī tumheñ āvāz dī maiñ ne
talab kī raah meñ khā kar shikast-e-āgahī maiñ ne
junūñ kī kāmyābī par mubārakbād dī maiñ ne
dam-e-āḳhir bahut achchhā kiyā tashrīf le aa.e
salām-e-ruḳhsatāna ko pukārā thā abhī maiñ ne
zabāñ se jab na kuchh yārā-e-sharh-e-ārzū paayā
nigāhoñ se huzūr-e-husn aksar baat kī maiñ ne
nasheman ko bhī ik partav qafas kā jaan kar 'anvar'
basā-auqāt kī hai bijliyoñ kī rahbarī maiñ ne
Top Urdushayar.com