kuchh abruoñ pe bal bhī haiñ ḳhanda-labī ke saath
farmā rahe haiñ jaur magar dil-kashī ke saath
shāmil ho gar na ġham kī ḳhalish zindagī ke saath
rakkhe na koī rabt-e-mohabbat kisī ke saath
is ehtimām-e-jashn-e-mashiyyat ko kyā kahūñ
paidā kiyā hai dard dil-e-ādmī ke saath
jiine na deñ hayāt kī paiham sharārteñ
insāñ jo ḳhud sharīr na ho zindagī ke saath
har gaam par hai laġhzish-e-pā kā bhī ik ḳhatar
chaliye rah-e-vafā meñ salāmat-ravī ke saath
mumkin hai mil hī jaa.e maqām-e-sukūñ kahīñ
tā marg ham-rikāb raho zindagī ke saath
bā-vasf-e-zikr-e-kausar-o-tasnīm kis liye
vaa.iz ko zid hai mashġhala-e-mai-kashī ke saath
mālūm us kī talḳhi-e-anjām hai magar
'anvar' bilā ḳhulūs na miliye kisī ke saath