ishq meñ ġham ke sivā koī ḳhushī dekhī nahīñ
zindagī shāyān-e-lutf-e-zindagī dekhī nahīñ
un ḳhizāñ-sāmāñ bahāroñ ko bahāreñ kyuuñ kahūñ
kyā kabhī maiñ ne chaman kī dilkashī dekhī nahīñ
uf vo āñkheñ marte dam tak jo rahī haiñ ashk-bār
haa.e vo lab umr bhar jin par hañsī dekhī nahīñ
tak rahā huuñ naza.a meñ yuuñ un kī sūrat baar baar
zindagī meñ jaise ye sūrat kabhī dekhī nahīñ
vo Dare mahshar-ba-dāmāñ talḳhi-e-māhaul se
jis ne un nazroñ kī shān-e-barhamī dekhī nahīñ
baḌh gayā hai kis qadar tārīkiyoñ kā silsila
bā-vujūd-e-sub.h-e-raushan raushnī dekhī nahīñ