mirī nazar mirā apnā mushāhida hai kahāñ
jo musta.ār nahīñ hai vo zāviya hai kahāñ
agar nahīñ tire jaisā to farq kaisā hai
agar maiñ aks huuñ terā to aa.ina hai kahāñ
huī hai jis meñ vazāhat hamāre hone kī
tirī kitāb meñ āḳhir vo hāshiya hai kahāñ
ye ham-safar to sabhī ajnabī se lagte haiñ
maiñ jis ke saath chalā thā vo qāfila hai kahāñ
madār meñ huuñ agar maiñ to hai kashish kis kī
agar maiñ ḳhud hī kashish huuñ to dā.era hai kahāñ
tirī zamīn pe kartā rahā huuñ mazdūrī
hai sūkhne ko pasīna muāvza hai kahāñ
huā bahisht se be-daḳhl jis ke baa.is maiñ
mirī zabān par us phal kā zā.iqa hai kahāñ
azal se hai mujhe darpesh dā.eroñ kā safar
jo mustaqīm hai yā rab vo rāsta hai kahāñ
agarche is se guzar to rahā huuñ maiñ 'āsim'
ye tajraba bhī mirā apnā tajraba hai kahāñ