Anwar Sabri

tajdid-e-rasm-o-rah-e-mulaqat kijiye

Anwar Sabri

1896-1985
tajdīd-e-rasm-o-rāh-e-mulāqāt kījiye
mujh se nazar milā ke zarā baat kījiye
dair o haram meñ ruuh kī taskīñ na ho sakī
ab ehtirām-e-pīr-e-ḳharābāt kījiye
āḳhir janāb-e-shaiḳh haiñ mehmān-e-mai-kada
do-chār jaam de ke mudārāt kījiye
guftār-e-talḳh sheva-e-vā.iz hai mai-kasho
shīrīñ dahan kī aap se kyā baat kījiye
aayā hai koī pursish-e-ahvāl ke liye
pesh āñsuoñ kī aap bhī sauġhāt kījiye
'anvar' ḳhayāl-e-dost meñ likh kar koī ġhazal
takmīl-e-tarjumāni-e-jazbāt kījiye
Top Urdushayar.com