Anwar Sabri

daur-e-hazir ho gaya hai is qadar kam-ashna

Anwar Sabri

1896-1985
daur-e-hāzir ho gayā hai is qadar kam-āshnā
āshnā hamdam hai koī ab na hamdam-āshnā
aah kis manzil pe pahuñchī haiñ mirī tanhā.iyāñ
DhūñDne se bhī nahīñ miltā mujhe ġham-āshnā
muḳhtasar ye hai mire qalb o nazar kī dāstāñ
āshnā-e-dard-e-dil hai aañkh hai nam-āshnā
allāh allāh ye fazā-e-dushman-e-mehr-o-vafā
āshnā ke naam se hotā hai barham āshnā
umr bhar 'anvar' rahūñgā aarzū kā sogvār
marg-e-armāñ par azal se huuñ maiñ mātam-āshnā
Top Urdushayar.com