har saañs meñ ḳhud apne na hone kā gumāñ thā
vo sāmne aa.e to mujhe hosh kahāñ thā
kartī haiñ ulaT-pher yūñhī un kī nigāheñ
kaaba hai vahīñ aaj sanam-ḳhāna jahāñ thā
taqsīr-e-nazar dekhne vāloñ kī hai varna
un kā koī jalva na ayaañ thā na nihāñ thā
badlī jo zarā chashm-e-mashīyat koī dam ko
har samt bapā mahshar-e-fariyād-o-fuġhāñ thā
lapkā hai bagūla sā abhī un kī taraf ko
shāyad kisī majbūr kī aahoñ kā dhuāñ thā
'anvar' mire kaam aa.ī qayāmat meñ nidāmat
rahmat kā taqāzā mirā har ashk-e-ravāñ thā