Anwar Sabri

ata-e-gham pe bhi KHush hun meri KHushi kya hai

Anwar Sabri

1896-1985
atā-e-ġham pe bhī ḳhush huuñ mirī ḳhushī kyā hai
razā talab jo nahīñ hai vo bandagī kyā hai
tirī nigāh kī naqqāshi-e-hasīñ ke sivā
tū hī batā mirā mafhūm-e-zindagī kyā hai
sitam-shi.ār jafā-āshnā vafā-dushman
ye nañg-e-azmat-e-ādam hai aadmī kyā hai
tirā tasavvur-e-rañgīñ agar na ho shāmil
bahār-e-gulshan-e-imkāñ meñ dilkashī kyā hai
zamāna aap kā kahtā hai jis ko aks-e-jamīl
nazar uThā ke to dekho ye chāndnī kyā hai
tamām umr qafas meñ guzār dī ham ne
ḳhabar nahīñ ki nasheman kī zindagī kyā hai
Top Urdushayar.com