zulmatoñ meñ raushnī kī justujū karte raho
zindagī bhar zindagī kī justujū karte raho
jis pe ho saaqī ba-zom-e-hosh-mandī bhī fidā
us mukammal be-ḳhudī kī justujū karte raho
be-junūñ chaltā nahīñ hai kār-e-tāmīr-e-hayāt
hosh vaalo āgahī kī justujū karte raho
ādmiyat ke sivā jis kā koī maqsad na ho
umr bhar us aadmī kī justujū karte raho
shart-e-irfān-e-ḳhudā 'anvar' hai ḳhud apnī talāsh
yuuñ to karne ko kisī kī justujū karte raho