maujūd jo nahīñ vahī dekhā banā huā
āñkhoñ meñ ik sarāb hai dariyā banā huā
ik aur shaḳhs bhī hai mire naam kā yahāñ
ik aur shaḳhs hai mire jaisā banā huā
samjhā rahe ho mujh ko mirā irtiqā magar
dekhā nahīñ hai aadmī pahlā banā huā
ai inhimāk-e-chashm zarā ye mujhe batā
chāroñ taraf zamīn pe hai kyā banā huā
karne lagā hai tanz mire nisf aks par
mujh meñ jo ek shaḳhs hai puurā banā huā
pahle kisī kī aañkh ne pāgal kiyā mujhe
ab huuñ kisī nazar kā tamāshā banā huā
khultī nahīñ haiñ tujh pe hī uryāniyāñ tirī
'āsim' tirā libās hai achchhā banā huā