Anwar Sabri

lab pe kanTon ke hai fariyaad-o-buka mere baad

Anwar Sabri

1896-1985
lab pe kāñToñ ke hai fariyād-o-bukā mere baad
koī aayā hī nahīñ ābla-pā mere baad
mere dam tak hī rahā rabt-e-nasīm o ruḳh-e-gul
nik.hat-āmez nahīñ mauj-e-sabā mere baad
ab na vo rañg-e-jabīñ hai na bahār-e-āriz
lāla-rūyoñ kā ajab haal huā mere baad
chand sūkhe hue patte haiñ chaman meñ raqsāñ
haa.e begānagi-e-āb-o-havā mere baad
muñh dhulātī nahīñ ġhunchoñ kā urūs-e-shabnam
gard-ālūd hai kaliyoñ kī qabā mere baad
ādmiyyat-shiknī bhī to nahīñ kam 'anvar'
Dar hai kuchh aur na ho is ke sivā mere baad
Top Urdushayar.com