Anwar Sabri

nigah-o-dil se guzri dastan tak baat ja pahunchi

Anwar Sabri

1896-1985
nigāh-o-dil se guzrī dāstāñ tak baat jā pahuñchī
mire hoñToñ se niklī aur kahāñ tak baat jā pahuñchī
bahe aañsū zamīñ par āsmāñ tak baat jā pahuñchī
kahī zarroñ se lekin kahkashāñ tak baat jā pahuñchī
abhī hai iḳhtilāf-e-jām-o-mīnā raaz kī had tak
na-jāne kyā ho gar pīr-o-muġhāñ tak baat jā pahuñchī
raqīboñ ne yūñhī da.avā kiyā thā jāñ-nisārī kā
magar merī badaulat imtihāñ tak baat jā pahuñchī
samajhte the rahegī zindagī mahdūd-e-gul-bulbul
magar taḳhrīb-e-nazm-e-gulistāñ tak baat jā pahuñchī
chhiḌā thā bazm meñ kal tazkira mizhgān-o-abrū kā
baḌhī kuchh is qadar teġh-o-sināñ tak baat jā pahuñchī
ma.āl-e-jurm-e-taqsīm-e-vatan kyā kam thā rone ko
ki ab fikr-o-malāl-e-āshiyāñ tak baat jā pahuñchī
chhupā rakhā thā jis ko muddatoñ se dil meñ ai 'anvar'
hazār afsos vo sharh-o-bayāñ tak baat jā pahuñchī
Top Urdushayar.com