muddatoñ se koī paiġhām nahīñ aatā hai
jazba-e-dil bhī mire kaam nahīñ aatā hai
haa.e andāz-e-taġhāful ki dam-e-zikr-e-vafā
yaad un ko bhī mirā naam nahīñ aatā hai
uf vo māsūm o hayā-rez nigāheñ jin par
qatl ke baad bhī ilzām nahīñ aatā hai
kaam kuchh merī tabāhī ke sivā duniyā meñ
tujh ko ai gardish-e-ayyām nahīñ aatā hai
mehrbāñ dīda-e-sāqī ko usī par dekhā
jis ko tarz-e-talab-e-jām nahīñ aatā hai
ab hai ye ālam-e-māyūs-e-mohabbat 'anvar'
un ke jalvoñ se bhī ārām nahīñ aatā hai