hāsil-e-ġham yahī samajhte haiñ
maut ko zindagī samajhte haiñ
jis ko tere alam se nisbat hai
ham usī ko ḳhushī samajhte haiñ
tum sitam meñ kamī na farmāo
ham ise dushmanī samajhte haiñ
ham charāġhoñ meñ chāñd tāroñ ke
aap kī raushnī samajhte haiñ
shaiḳh jī haiñ farishtoñ ke ustād
aap unheñ aadmī samajhte haiñ
husn-e-mauzūñ ke zikr ko 'anvar'
maqsad-e-shā.irī samajhte haiñ