Asim Wasti

tum intizar ke lamhe shumar mat karna

Asim Wasti

1958
tum intizār ke lamhe shumār mat karnā
diye jalā.e na rakhnā siñgār mat karnā
mirī zabān ke mausam badalte rahte haiñ
maiñ aadmī huuñ mirā e'tibār mat karnā
kiran se bhī hai ziyāda zarā mirī raftār
nahīñ hai aañkh se mumkin shikār mat karnā
tumheñ ḳhabar hai ki tāqat mirā vasīla hai
tum apne aap ko be-iḳhtiyār mat karnā
tumhāre saath mire muḳhtalif marāsim haiñ
mirī vafā pe kabhī inhisār mat karnā
tumheñ batā.ūñ ye duniyā ġharaz kī duniyā hai
ḳhulūs dil meñ agar hai to pyaar mat karnā
mileñge raah meñ 'āsim' ko ham-safar ka.ī aur
vo aa rahā hai magar intizār mat karnā
Top Urdushayar.com