Ali Jawwad Zaidi

nind aa gai thi manzil-e-irfan se guzar ke

Ali Jawwad Zaidi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1916-2004
niind aa ga.ī thī manzil-e-irfāñ se guzar ke
chauñke haiñ ham ab sarhad-e-isyāñ se guzar ke
āñkhoñ meñ liye jalva-e-nairañg-e-tamāshā
aa.ī hai ḳhizāñ jashn-e-bahārāñ se guzar ke
yādoñ ke javāñ qāfile aate hī raheñge
sarmā ke isī barg-e-pur-afshāñ se guzar ke
kāñToñ ko bhī ab bād-e-sabā chheḌ rahī hai
phūloñ ke hasīñ chaak garebāñ se guzar ke
vahshat kī na.ī rāhguzar DhūñDh rahe haiñ
ham ahl-e-junūñ dasht o bayābāñ se guzar ke
ban jā.egā taarā kisī māyūs ḳhalā meñ
ye ashk-e-sahar gosha-e-dāmāñ se guzar ke
āvārgi-e-fikr kidhar le ke chalī hai
sar-manzil-e-āzādi-e-insāñ se guzar ke
paa.ī hai nigāhoñ ne tirī bazm-e-tamannā
rātoñ ko chināroñ ke charāġhāñ se guzar ke
ik gardish-e-chashm-e-karam ik mauj-e-nazāra
kal shab ko milī gardish-e-daurāñ se guzar ke
milne ko to mil jaa.e magar legā bhalā kaun
sāhil kā sukūñ shorish-e-tūfāñ se guzar ke
ik nishtar-e-ġham aur sahī ai ġham-e-manzil
aa dekh to ik roz rag-e-jāñ se guzar ke
ab dard meñ vo kaifiyat-e-dard nahīñ hai
aayā huuñ jo us bazm-e-gul-afshāñ se guzar ke
Top Urdushayar.com