Ali Jawwad Zaidi

tere dayar mein koi gham-ashna to nahin

Ali Jawwad Zaidi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1916-2004
tire dayār meñ koī ġham-āshnā to nahīñ
magar vahāñ ke sivā aur rāstā to nahīñ
simaT ke aa ga.ī duniyā qarīb-e-mai-ḳhāna
koī batāo yahī ḳhāna-e-ḳhudā to nahīñ
laboñ par aaj tabassum kī mauj machlī hai
koī mujhe kisī goshe se dekhtā to nahīñ
banā leñ raah isī ḳhār-zār se ho kar
junūn-e-shauq kā ye faisla burā to nahīñ
sabab ho kuchh bhī tire infi.āl kā lekin
mirī shikast se pahle kabhī huā to nahīñ
na reg-e-garm na kāñTe na rāhzan na ġhanīm
ye rāsta kahīñ ġhairoñ kā rāsta to nahīñ
dayār-e-sajda meñ taqlīd kā rivāj bhī hai
jahāñ jhukī hai jabīñ un kā naqsh-e-pā to nahīñ
ḳhayāl-e-sāhil o fikr-e-tabāh-kāri-e-mauj
ye sab hai phir bhī tamannā-e-nāḳhudā to nahīñ
Top Urdushayar.com