Ali Jawwad Zaidi

manzil-e-dil mili kahan KHatm-e-safar ke baad bhi

Ali Jawwad Zaidi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1916-2004
manzil-e-dil milī kahāñ ḳhatm-e-safar ke baad bhī
rahguzar ek aur thī rāhguzar ke baad bhī
aaj tire savāl par phir mire lab ḳhamosh haiñ
aisī hī kashmakash thī kuchh pahlī nazar ke baad bhī
dil meñ the laakh vasvase jalva-e-āftāb tak
rah ga.ī thī jo tīrgī nūr-e-sahar ke baad bhī
nāseh-e-maslahat-navāz tujh ko batā.ūñ kyā ye raaz
hausla-e-nigāh hai ḳhūn-e-jigar ke baad bhī
haar ke bhī nahīñ miTī dil se ḳhalish hayāt kī
kitne nizām miT ga.e jashn-e-zafar ke baad bhī
koī mirā hī āshiyāñ hāsil-e-fasl-e-gul na thā
haañ ye bahār hai bahār raqs-e-sharar ke baad bhī
ek tumhārī yaad ne laakh diye jalā.e haiñ
āmad-e-shab ke qabl bhī ḳhatm-e-sahar ke baad bhī
Top Urdushayar.com