barham-zan-e-shīrāza-e-ayyām hamīñ haiñ
ai dard-e-mohabbat tirā anjām hamīñ haiñ
is qāfila-e-shauq meñ ye vahm hai sab ko
āvāra-o-sar-gashta-o-nākām hamīñ haiñ
hoñge ka.ī gardan-zadanī aur bhī lekin
is shahr-e-nigārāñ meñ to badnām hamīñ haiñ
ham dhuup meñ tapte to panap jaate magar ab
daryūza-gar-e-mehr-e-lab-e-bām hamīñ haiñ
kyā aan thī nākāmī-e-tadbīr se pahle
ab lā.eq-e-fahmā.ish-e-dushnām hamīñ haiñ
haq naqd-e-masarrat kā agar hai to hamīñ ko
kuchh nabz-shanās-e-ġham-o-ālām hamīñ haiñ
jis tak koī koī abhī pahuñchā hī nahīñ hai
vo mash.al-e-be-nūr sar-e-shām hamīñ haiñ
inkār hī sar-chashma-e-īmān-o-yaqīñ hai
ab roz-e-jazā lā.eq-e-in.ām hamīñ haiñ
kaliyoñ se dam-e-sub.h jo 'zaidī' ne sunā thā
fitrat kā vo nā-gufta sā paiġhām hamīñ haiñ