Ali Jawwad Zaidi

kitne dil TuTe hain duniya ka KHabar hone tak

Ali Jawwad Zaidi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1916-2004
kitne dil TuuTe haiñ duniyā kā ḳhabar hone tak
kitne sar phūTe haiñ dīvār meñ dar hone tak
ek kāñTā jo nikaltā hai to sau chubhte haiñ
amn thā hausla-e-fikr-o-nazar hone tak
ham ne apne se bhī sau baar mohabbat kī hai
haañ magar dil meñ kisī shoḳh kā ghar hone tak
ab kahīñ raqs-e-junūñ hai to kahīñ naġhma-e-ḳhūñ
kitnī suunī thī fazā zer-o-zabar hone tak
aaj suntā huuñ vahī naqsh-e-qadam chūmte haiñ
jo bahut ḳhush the mire shahr-badar hone tak
āñkhoñ āñkhoñ meñ bhī kaT jaa.e to ham raazī haiñ
ye añdhere hai bas ik raat basar hone tak
jab jhulas degā zamāna to na ummīd na yaas
shāḳh ko ḳhauf hai be-barg-o-samar hone tak
is qayāmat kā jo pūchho to koī naam nahīñ
ham pe jo biit ga.ī tum ko ḳhabar hone tak
ik kiran phūTegī ik shoḳh havā sankegī
isī ummīd meñ jaage haiñ sahar hone tak
aur ik nāra-e-mastāna ki mahfil jaage
aur ik jaam zamāne ko ḳhabar hone tak
un ke hoñToñ pe vo ma.asūm tabassum kī shaguft
sho.la-e-narm banī lams-e-nazar hone tak
merī barbādī bhī ik hashr hai lekin 'zaidī'
irtiqā raqs meñ hai hashr-e-digar hone tak
Top Urdushayar.com