ham-safar gum rāste nā-paid ghabrātā huuñ maiñ
ik bayābāñ dar bayābāñ hai jidhar jaatā huuñ maiñ
bazm-e-fikr o hosh ho yā mahfil-e-aish o nashāt
har jagah se chand nishtar chand ġham laatā huuñ maiñ
aa ga.ī ai nā-murādī vo bhī manzil aa ga.ī
mujh ko kyā samjhā.eñge vo un ko samjhātā huuñ maiñ
un ke lab par hai jo halke se tabassum kī jhalak
us meñ apne āñsuoñ kā soz bhī paatā huuñ maiñ
shām-e-tanhā.ī bujhā de jhilmilātī sham.a bhī
in andheroñ meñ hī aksar raushnī paatā huuñ maiñ
himmat-afzā hai har ik uftād rāh-e-shauq kī
Thokareñ khātā huuñ girtā huuñ sambhal jaatā huuñ maiñ
un ke dāman tak ḳhud apnā haath bhī baḌhtā nahīñ
apnā dāman ho to har kāñTe se uljhātā huuñ maiñ
shauq-e-manzil ham-safar hai jazba-e-dil rāhbar
mujh pe ḳhud bhī khul nahīñ paatā kidhar jaatā huuñ maiñ