junūñ se rāh-e-ḳhirad meñ bhī kaam lenā thā
har ek ḳhaar se izn-e-ḳhirām lenā thā
farāz-e-dār pe dāman kisī kā thaam liyā
junūn-e-shauq ko bhī intiqām lenā thā
hazār baar natā.ej se ho ke be-parvā
usī kā naam liyā jis kā naam lenā thā
ilāj-e-tishna-labī sahl thā magar saaqī
jo dast-e-ġhair meñ hai kab vo jaam lenā thā
junūñ kī raah meñ tadbīr-e-sarḳhushī ke liye
bas ek valvala-e-tez-gām lenā thā
shikasta laakh thī kashtī hazār thā tūfāñ
ḳhayāl meñ koī dāman to thaam lenā thā
nasīm ek ravish tak pahuñch ke tham sī ga.ī
ki nā-shagufta kalī kā payām lenā thā
shab-e-firāq meñ bhī kuchh diye chamakne lageñ
nigāh-e-shauq se itnā to kaam lenā thā
hazār baar tirī bazm meñ huā mahsūs
liyā jo ġhair ne mujh ko vo jaam lenā thā
maiñ ek jur.a-e-mastī pe sulh kyuuñ kartā
mujhe to jaam meñ māh-e-tamām lenā thā
ġhazab huā ki in āñkhoñ meñ ashk bhar aa.e
nigāh-e-yās se kuchh aur kaam lenā thā
kisī ne aag lagā.ī ho koī mujrim ho
hameñ to apne hī sar ittihām lenā thā
nigāh-e-shoḳh yahī fat.h aur kuchh hotī
jo gir rahe the unheñ baḌh ke thaam lenā thā
ye bazm-e-ḳhās kā aish-e-do-roza kyā hogā
ġham-e-avām se aish-e-davām lenā thā