Ali Jawwad Zaidi

jo maqsad girya-e-paiham ka hai wo hum samajhte hain

Ali Jawwad Zaidi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1916-2004
jo maqsad girya-e-paiham kā hai vo ham samajhte haiñ
magar jin ko samajhnā chāhiye thā kam samajhte haiñ
zarā mere junūñ kī kāvish-e-tāmīr to dekheñ
jo bazm-e-zindagī ko darham o barham samajhte haiñ
un āñkhoñ meñ nahīñ nashtar ḳhud apne dil meñ pinhāñ hai
ab itnī baat to kuchh ham bhī ai hamdam samajhte haiñ
ye un kī mehrbānī hai ye un kī izzat-afzā.ī
ki mere zaḳhm ko vo lā.iq-e-marham samajhte haiñ
ham ahl-e-dil ne me.ayār-e-mohabbat bhī badal Daale
jo ġham har fard kā ġham hai usī ko ġham samajhte haiñ
jhijakte se qadam bahkī sī nazreñ ruktī sī bāteñ
ye andāz-e-tajāhul vo hai jis ko ham samajhte haiñ
sulūk-e-dost bhī hai ik ishāra tez-gāmī kā
ham ahl-e-kārvāñ āñchal ko bhī parcham samajhte haiñ
haTo ahl-e-ḳhirad ahl-e-junūñ ko jaane do aage
vahī kuchh rāh-e-hastī ke ye pech o ḳham samajhte haiñ
palak se is tarah Tapkā ki goyā ik kalī chaTkī
ham ahl-e-dard ashk-e-ġham ko bhī shabnam samajhte haiñ
ḳhulūs-e-zāhirī rozāna ik mahfil sajātā hai
samajhte vo bhī haiñ lekin abhī kam kam samajhte haiñ
Top Urdushayar.com