dam-e-yār tā-naza.a bhar lījiye
'saḳhī' zindagī tak to mar lījiye
diyā dil to kahne lage pheñk kar
kaleje meñ apne ye dhar lījiye
mirī lāġharī par to hañste haiñ aap
kamar kī to apnī ḳhabar lījiye
ajal aa.e pīchhā chhuTte shahr kā
kahīñ chal ke jañgal meñ ghar lījiye
'saḳhī' hijr-e-jānāñ meñ khānā kahāñ
ġham-o-dard se peT bhar lījiye