Asim Wasti

samne rah kar na hona masala mera bhi hai

Asim Wasti

1958
sāmne rah kar na honā mas.ala merā bhī hai
is kahānī meñ izāfī tazkira merā bhī hai
be-sabab āvārgī masrūf rakhtī hai mujhe
raat din bekār phirnā mashġhala merā bhī hai
baat kar farhād se bhī intihā-e-ishq par
mashvara mujh se bhī kar kuchh tajraba merā bhī hai
kyā zarūrī hai añdhere meñ tirā tanhā safar
jis pe chalnā hai tujhe vo rāsta merā bhī hai
hai koī jis kī lagan gardish meñ rakhtī hai mujhe
ek nukte kī kashish se dā.era merā bhī hai
be-sabab ye raqs hai merā bhī apne sāmne
aks vahshat hai mujhe bhī aa.ina merā bhī hai
ek gum-karda galī meñ ek nā-maujūd ghar
kūcha-e-ushshāq meñ 'āsim' pata merā bhī hai
Top Urdushayar.com