rāh-e-ulfat meñ mile aise bhī dīvāne mujhe
jo ma.āl-e-dostī aa.e the samjhāne mujhe
ishq kī halkī sī pahlī aañch hī meñ jal bujhe
kyā bhalā dard-e-vafā deñge ye parvāne mujhe
ye to kahiye be-ḳhudī se mil ga.ī kuchh āgahī
varna dhokā de diyā thā chashm-e-bīnā ne mujhe
nā-murādī luuT hī letī matā-e-ārzū
ik sahārā de diyā ehsās-e-fardā ne mujhe
kis se kahtā dil kī bāteñ kis se suntā un kā raaz
bazm meñ to sab nazar aate haiñ begāne mujhe
tauba tauba nā-ummīdī kī ḳhayāl-ārā.iyāñ
dekhte hoñ jaise ḳhud lalchā ke paimāne mujhe
merā ik adnā sā partav hai nizām-e-kā.enāt
kyā samajh rakkhā hai is mahdūd duniyā ne mujhe
jab kabhī dekhā hai ai 'zaidī' nigāh-e-ġhaur se
har haqīqat meñ mile haiñ chand afsāne mujhe