go vasī.a sahrā meñ ik haqīr zarra huuñ
rah-ravī meñ sarsar huuñ raqs meñ bagūlā huuñ
har samudr-manthan se zahr hī nikaltā hai
maiñ ye zahr jīvan kā hañs ke pī bhī saktā huuñ
ye bharī-purī dhartī ik anant melā hai
aur saare mele meñ jaise maiñ akelā huuñ
yuuñ to phuul phabtā hai har hasīn joḌe par
jis ne chun liyā mujh ko maiñ usī kā belā huuñ
kal har ek jalve meñ laakh jalve paidā the
maiñ ki thā tamāshā.ī aaj ḳhud tamāshā huuñ
zindagī ke rastoñ par zaḳhm-ḳhurda dīvāna
kah rahā thā 'zaidī' se maiñ bhī aap jaisā huuñ