guloñ kī chaah meñ tauhīn-e-barg-o-bār na kar
bhare chaman meñ ye sāmān-e-intishār na kar
ḳhizāñ riyāz-e-chaman hai ḳhizāñ gudāz-e-chaman
ḳhizāñ kā Dar ho to phir ḳhvāhish-e-bahār na kar
bas ek dil hai yahāñ vāqif-e-nasheb-o-farāz
vafā kī raah meñ rahbar kā intizār na kar
hujūm-e-ġham meñ tabassum kā khel dekh liyā
maiñ kah rahā thā mire ġham kā e'tibār na kar
kahā ye ishq se dār-o-salīb-e-zindāñ ne
majāl ho to mirī raah iḳhtiyār na kar
ye taaza taaza qafas kyā ḳhizāñ se kuchh kam haiñ
hujūm-e-gul hī se andāza-e-bahār na kar
nasīm-e-sub.h unheñ muskurā to lene de
abhī guloñ se koī zikr-e-nāgavār na kar
udhar har ek nazar meñ hai hasratoñ kā julūs
idhar ye hukm-e-hayā hai nigāheñ chaar na kar
ye pūchhnā hai kisī din janāb-e-'zaidī' se
ki aap ne to kahā thā kisī se pyaar na kar