āñkhoñ meñ ashk bhar ke mujh se nazar milā ke
nīchī nigāh uTThī fitne na.e jagā ke
maiñ raag chheḌtā huuñ īmā-e-husn pā ke
dekho to merī jānib ik baar muskurā ke
duniyā-e-maslahat ke ye band kyā thameñge
baḌh jā.egā zamāna tūfāñ na.e uThā ke
jab chheḌtī haiñ un ko gumnām ārzūeñ
vo mujh ko dekhte haiñ merī nazar bachā ke
dīdār kī tamannā kal raat rakh rahī thī
ḳhvāboñ kī rah-guzar meñ sham.eñ jalā jalā ke
duurī ne laakh jalve taḳhlīq kar liye the
phir duur ho ga.e ham tere qarīb aa ke
shām-e-firāq aisā mahsūs ho rahā hai
har ek shai gañvā dī har ek shai ko pā ke
aa.ī hai yaad jin kī tūfān-e-dard ban ke
vo zaḳhm maiñ ne aksar khaa.e haiñ muskurā ke
merī nigāh-e-ġham meñ shikve hī sab nahīñ haiñ
ik baar idhar to dekho nīchī nazar uThā ke
ye dushmanī hai saaqī yā dostī hai saaqī
auroñ ko jaam denā mujh ko dikhā dikhā ke
dil ke qarīb shāyad tūfān uTh rahe hoñ
dekho to sher 'zaidī' ik roz gungunā ke