nayā mai-kade meñ nizām aa gayā
uThīñ bandisheñ izn-e-ām aa gayā
nazar meñ vo kaif-e-davām aa gayā
ki goyā kisī kā payām aa gayā
mohabbat meñ vo bhī maqām aa gayā
ki mizhgāñ pe ḳhuuñ lab pe naam aa gayā
sar-e-rāh kāñTe bichhātā hai shauq
junūñ ko bhī kuchh ehtimām aa gayā
na ilzām un par na aġhyār par
ye dil aap hī zer-e-dām aa gayā
badal hī gayā bazm-e-ishrat kā rañg
mirā naġhma-e-dard kaam aa gayā
kidhar se ye sankī mahaktī havā
kidhar se vo nāzuk-ḳhirām aa gayā
tamāshā nahīñ thā mirā iztirāb
koī kyuuñ ye bālā-e-bām aa gayā
bayāñ ho rahā thā fasāna mirā
magar bār-bār un kā naam aa gayā
kabhī sāmne kuchh ḳhamoshī rahī
kabhī duur se kuchh payām aa gayā
jo dār-o-rasan se bhī ruktā nahīñ
saroñ meñ vo saudā-e-ḳhām aa gayā
vo 'zaidī' vahī rind-e-ātish-navā
vo zinda diloñ kā imaam aa gayā