Ali Jawwad Zaidi

ahl-e-zahir ko fann-e-jalwa-gari ne mara

Ali Jawwad Zaidi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1916-2004
ahl-e-zāhir ko fann-e-jalva-garī ne maarā
ahl-e-bātin ko tavānā-nazarī ne maarā
talḳh thī maut magar ziist se shīrīñ-tar thī
us se pūchho jise be-bāl-o-parī ne maarā
mundamil hote hue zaḳhm hare hone lage
saa.e saa.e meñ tirī ham-safarī ne maarā
dasht-e-ġhurbat ke shab-o-roz kī lazzat na milī
sar vatan meñ bhī bahut dar-ba-darī ne maarā
ishq aur dast-e-talab aisī bhī kyā majbūrī
shauq ko kāvish-e-daryūza-garī ne maarā
zaḳhm-e-pārīna bharā hī thā ki ai sozan-e-hāl
aur ik tiir tirī baḳhiya-garī ne maarā
dād-o-shamshīr ne jab jab bhī Darānā chāhā
qahqaha shauq kī shorīda-sarī ne maarā
sulh karnā to zamāne se hai āsāñ lekin
mujh ko 'zaidī' mirī bāliġh-nazarī ne maarā
Top Urdushayar.com