ik āh-e-zer-e-lab ke gunahgār ho ga.e
ab ham bhī dāḳhil-e-saf-e-aġhyār ho ga.e
jis dard ko samajhte the ham un kā faiz-e-ḳhās
us dard ke bhī laakh ḳharīdār ho ga.e
jin hausloñ se merā junūñ mutma.in na thā
vo hausle zamāne ke me.aar ho ga.e
har va.ada jaise harf-e-ġhalat thā sarāb thā
ham to nisār-e-jur.at-e-inkār ho ga.e
sarsabz pattiyoñ kā lahū chuus chuus kar
kitne hī phuul raunaq-e-gulzār ho ga.e
'zaidī' ne taaza sher sunā.e ba-rañg-e-ḳhās
ham bhī ḳhudā-e-shoḳhī-e-afkār ho ga.e