diin o dil pahlī hī manzil meñ yahāñ kaam aa.e
aur ham rāh-e-vafā meñ koī do gaam aa.e
tum kaho ahl-e-ḳhirad ishq meñ kyā kyā biitī
ham to is raah meñ nā-vāqif-e-anjām aa.e
lazzat-e-dard milī ishrat-e-ehsās milī
kaun kahtā hai ham us bazm se nākām aa.e
vo bhī kyā din the ki ik qatra-e-mai bhī na milā
aaj aa.e to ka.ī baar ka.ī jaam aa.e
ik hasīñ yaad se vābasta haiñ lākhoñ yādeñ
ashk umañD aate haiñ jab lab pe tirā naam aa.e
sī liye hoñT magar dil meñ ḳhalish rahtī hai
is ḳhamoshī kā kahīñ un pe na ilzām aa.e
chand dīvānoñ se raushan thī galī ulfat kī
varna fānūs to lākhoñ hī sar-e-bām aa.e
ye bhī badle hue hālāt kā partav hai ki vo
ḳhalvat-e-ḳhās se tā jalva-gah-e-ām aa.e
ho ke māyūs maiñ paimāna bhī jab toḌ chukā
chashm-e-sāqī se piyā pe ka.ī paiġhām aa.e
shahr meñ pahle se badnām the yuuñ bhī 'zaidī'
ho ke mai-ḳhāne se kuchh aur bhī badnām aa.e