Asim Wasti

honTon ko phul aankh ko baada nahin kaha

Asim Wasti

1958
hoñToñ ko phuul aañkh ko baada nahīñ kahā
tujhko tirī adā se ziyāda nahīñ kahā
bartā gayā huuñ sirf kisī sair kī tarah
tuune mujhe safar kā irāda nahīñ kahā
kahtā to huuñ tujhe maiñ gul-e-ḳhush-numā magar
ḳhush rañg mausamoñ kā labāda nahīñ kahā
rahte haiñ sirf tañg-nazar log jis jagah
us shahr-e-be-karāñ ko kushāda nahīñ kahā
bāñdhā har ik ḳhayāl baḌī sādgī ke saath
lekin koī ḳhayāl bhī saada nahīñ kahā
miirī bisāt par to sabhī bādshāh haiñ
maine kabhī kisī ko piyāda nahīñ kahā
vo āsmāñ mizāj musāfir huuñ aaj tak
maine tirī zamīn ko jaada nahīñ kahā
Top Urdushayar.com