aisī tanhā.ī hai apne se bhī ghabrātā huuñ maiñ
jal rahī haiñ yaad kī sham.eñ bujhā jaatā huuñ maiñ
aa ga.ī āḳhir ġham-e-dil vo bhī manzil aa ga.ī
mujh ko samjhāte the jo ab un ko samjhātā huuñ maiñ
zindagī āzāda-rau bahr-e-haqīqat be-kanār
mauj aatī hai to baḌhtā hī chalā jaatā huuñ maiñ
bazm-e-fikr-o-hosh ho yā mahfil-e-aish-o-nishāt
har jagah se chand nashtar chand ġham laatā huuñ maiñ
zehn meñ yādoñ ke gulshan dil meñ azm-e-jū-e-shīr
ik nayā farhād paatā huuñ jidhar jaatā huuñ maiñ
shab ke sannāTe meñ rah ġhairoñ ke naġhme kī tarah
ahl-e-dil kī bastiyoñ meñ aah ban jaatā huuñ maiñ
himmat-afzā hai har ik uftād rāh-e-ishq kī
Thokareñ khātā huuñ girtā huuñ sambhal jaatā huuñ maiñ
ishq aksar māñgtā hai naġhma-e-ishrat kī bhiik
ahl-e-duniyā kī tahī-dastī pe sharmātā huuñ maiñ
shām-e-tanhā.ī bujhā do jhilmilātī sham.a bhī
in añdheroñ hī meñ aksar raushnī paatā huuñ maiñ
aaj āġhosh-e-tamannā thī shanāsā-e-visāl
razm-gāh-e-zindagī meñ tāza-dam aatā huuñ maiñ
koī nāzuk haath baazū thaam letā hai mirā
Thokareñ khātā to huuñ lekin sambhal jaatā huuñ maiñ
apne miTne kā bhī ġham hotā hai is ehsās se
maiñ nahīñ apnā magar terā to kahlātā huuñ maiñ
hai suhānī kis qadar un dūriyoñ kī chāñdnī
pūchh letā hai koī 'zaidī' to itrātā huuñ maiñ