Ali Jawwad Zaidi

hai wahi marka-e-neki-o-shar mere baad

Ali Jawwad Zaidi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1916-2004
hai vahī mārka-e-nekī-o-shar mere ba.ad
tham na jaa.eñ kahīñ yārān-e-safar mere ba.ad
kam haiñ aise jo kareñ arz-e-hunar mere ba.ad
aaj ġhamnāk se haiñ ahl-e-nazar mere ba.ad
chand saa.at ke liye ruk bhī gayā ro bhī liyā
kārvāñ phir bhī hai sargarm-e-safar mere ba.ad
jazb thiiñ jis meñ mire ḳhūn-e-vafā kī chhīñTeñ
ban gayā sajda-gah-e-ḳhalq vo dar mere ba.ad
hijr kī raat laraztā hī rahā palkoñ par
qatra-e-ashk banā najm-e-sahar mere ba.ad
shāyad ai dost tamāshāoñ ke hañgāmoñ meñ
yaad aa.e mirī mohtāt nazar mere ba.ad
aaj anjān bano bhuul bhī jaao lekin
kyā karoge mirī yaad aa.e agar mere ba.ad
kyuuñ bichhāte ho mirī raah meñ kāñTe yaaro
ḳhair jaarī se badal jā.egā shar mere ba.ad
ab bhī shor-e-qadam-e-rāh-ravāñ hai to vahī
phir bhī suunī hai tirī rāhguzar mere ba.ad
kyā koī aur banātā thā nasheman apnā
phir usī shāḳh pe hai raqs-e-sharar mere ba.ad
ik mirī yaad kī mash.al ke sivā kuchh bhī na ho
raat is tarah se bhī hogī basar mere ba.ad
ye tamavvuj ye talātum ye shahādat ye shuhūd
ḳhatm hai manzil-e-avval kā safar mere ba.ad
ashk āñkhoñ meñ bhare us ne bhī dekhā 'zaidī'
aaj mahfil ko ba-andāz-e-digar mere ba.ad
Top Urdushayar.com