Ali Jawwad Zaidi

shikwe hum apni zaban par kabhi lae to nahin

Ali Jawwad Zaidi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1916-2004
shikve ham apnī zabāñ par kabhī laa.e to nahīñ
haañ magar ashk jab umDe the chhupā.e to nahīñ
terī mahfil ke bhī ādāb ki dil Dartā hai
merī āñkhoñ ne durr-e-ashk luTā.e to nahīñ
chhān lī ḳhaak bayābānoñ kī vīrānoñ kī
phir bhī andāz-e-junūñ aql ne paa.e to nahīñ
laakh pur-vahshat o pur-haul sahī shām-e-firāq
ham ne ghabrā ke diye din se jalā.e to nahīñ
ab to is baat pe bhī sulh sī kar lī hai ki vo
na bulā.e na sahī dil se bhulā.e to nahīñ
hijr kī raat ye har Dūbte taare ne kahā
ham na kahte the na ā.eñge vo aa.e to nahīñ
inqilāb aate haiñ rahte haiñ jahāñ meñ lekin
jo banāne kā na ho ahl miTā.e to nahīñ
apnī is shoḳhi-e-raftār kā anjām na soch
fitne ḳhud uThne lage tū ne uThā.e to nahīñ
Top Urdushayar.com