aish hī aish hai na sab ġham hai
zindagī ik hasīn sañgam hai
jaam meñ hai jo mish.al-e-gul-rañg
terī āñkhoñ kā aks-e-mub.ham hai
ai ġham-e-dahr ke giraftāro
aish bhī sarnavisht-e-ādam hai
nok-e-mizhgāñ pe yaad kā aañsū
mausam-e-gul kī sard shabnam hai
dard-e-dil meñ kamī huī hai kahīñ
tum ne pūchhā to kah diyā kam hai
miTtī jaatī hai bantī jaatī hai
zindagī kā ajiib aalam hai
ik zarā muskurā ke bhī dekheñ
ġham to ye roz roz kā ġham hai
pūchhne vaale shukriya terā
dard to ab bhī hai magar kam hai
kah rahā thā maiñ apnā afsāna
kyuuñ tirā dāman-e-mizha nam hai
ġham kī tārīkiyoñ meñ ai 'zaidī'
raushnī vo bhī hai jo maddham hai