Ali Jawwad Zaidi

ek aah-e-zer-e-lab ke gunahgar ho gae

Ali Jawwad Zaidi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1916-2004
ik āh-e-zer-e-lab ke gunahgār ho ga.e
ab ham bhī dāḳhil-e-saf-e-aġhyār ho ga.e
jis dard ko samajhte the ham un kā faiz-e-ḳhās
us dard ke bhī laakh ḳharīdār ho ga.e
jin hausloñ se merā junūñ mutma.in na thā
vo hausle zamāne ke meyār ho ga.e
saaqī ke ik ishāre ne kyā sehr kar diyā
ham bhī shikār-e-andak-o-bisyār ho ga.e
ab un laboñ meñ shahad o shakar ghul ga.e to kyā
jab ham halāk-e-talḳhi-e-guftār ho ga.e
har vaada jaise harf-e-ġhalat thā sarāb thā
ham to nisār-e-jur.at-e-inkār ho ga.e
terī nazar payām-e-yaqīñ de ga.ī magar
kuchh taaza vasvase bhī to bedār ho ga.e
is mai-kade meñ uchhlī hai dastār bār-hā
vaa.iz yahāñ kahāñ se numūdār ho ga.e
sarsabz pattiyoñ kā lahū chuus chuus kar
kitne hī phuul raunaq-e-gulzār ho ga.e
'zaidī' ne taaza sher sunā.e ba-rañg-e-ḳhās
ham bhī fidā-e-shoḳhi-e-inkār ho ga.e
Top Urdushayar.com