masti-e-gām bhī thī ġhaflat-e-anjām ke saath
do ghaḌī khel liye gardish-e-ayyām ke saath
tishna-lab rahne pe bhī saakh to thī shaan to thī
vaz-e-rindāna ga.ī ik talab-e-jām ke saath
jab se hañgām-e-safar ashkoñ ke taare chamke
talḳhiyāñ ho ga.iiñ vābasta har ik shaam ke saath
ab na vo shorish-e-raftār na vo josh-e-junūñ
ham kahāñ phañs ga.e yārān-e-subuk-gām ke saath
uḌ chukī haiñ sitam-ārāoñ kī nīndeñ aksar
aap suniye kabhī afsāna ye ārām ke saath
is meñ saaqī kā bhī dar-parda ishāra to nahīñ
aaj kuchh rind bhī the vā.iz-e-badnām ke saath
ġhair kī tarah mile ahl-e-haram ai 'zaidī'
mujh ko yak-go na aqīdat jo thī asnām ke saath