agar chubhtī huī bātoñ se Darnā paḌ gayā to
mohabbat se kabhī tumko mukarnā paḌ gayā to
tirī bikhrī huī duniyā sameTe jā rahā huuñ
agar mujhko kisī din ḳhud bikharnā paḌ gayā to
zaḳhīra pusht par bāñdhā nahīñ tumne havā kā
kahīñ gahre samundar meñ utarnā paḌ gayā to
vo mujhse duur hotā jā rahā hai rafta rafta
agar us ko kabhī mahsūs karnā paḌ gayā to
tum is raste meñ kyuuñ bārūd bo.e jā rahe ho
kisī din is taraf se ḳhud guzarnā paḌ gayā to
banā rakhā hai mansūba ka.ī barsoñ kā tū ne
agar ik din achānak tujhko marnā paḌ gayā to
tumhārī zid hai 'āsim' vo nikhāre husn apnā
agar us ke liye tum ko sañvarnā paḌ gayā to