Ali Jawwad Zaidi

hujum-e-aish-o-tarab mein bhi hai bashar tanha

Ali Jawwad Zaidi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1916-2004
hujūm-e-aish-o-tarab meñ bhī hai bashar tanhā
nafas nafas hai muhājir nazar nazar tanhā
ye merā aks hai ā.īne meñ ki dushman hai
udaas tishna-e-sitam dīda-e-be-ḳhabr tanhā
ye qatl-gāh bhī hai bāl-pan kā āñgan bhī
bhaTak rahī hai jahāñ chashm-e-mo'atabar tanhā
burā na maan mire ham-safar ḳhudā ke liye
chalūñgā maiñ bhī isī raah par magar tanhā
na jaane bhīgī haiñ palkeñ ye kyuuñ dam-e-ruḳhsat
ki ghar meñ bhī to rahā huuñ maiñ umr-bhar tanhā
na bazm-e-ḳhalvatiyāñ hai na hashr-e-gāh-e-avām
añdherī raat karūñ kis tarah basar tanhā
kisī ġhazal kā koī sher gungunāte chaleñ
tavīl rāheñ vafā kī haiñ aur safar tanhā
nisār kar duuñ ye palkoñ pe kāñptī yādeñ
tirā ḳhayāl jo aa.e dam-e-sahar tanhā
jidhar bhī jaao koī raah rok letā hai
vafā ne chhoḌī nahīñ ek bhī Dagar tanhā
barat lo yaaro baratne kī chiiz hai ye hayāt
ho laakh tarsī huī talḳh-e-muḳhtasar tanhā
umiid kitnī hī māyūsiyoñ kī mash.al hai
ho rahguzār meñ jaise koī shajar tanhā
jidhar se guzre the ma.asūm hasratoñ ke julūs
sunā ki aaj hai 'zaidī' vahī Dagar tanhā
Top Urdushayar.com