Ali Jawwad Zaidi

kam-zarf ehtiyat ki manzil se aae hain

Ali Jawwad Zaidi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1916-2004
kam-zarf ehtiyāt kī manzil se aa.e haiñ
ham zindagī ke jāda-e-mushkil se aa.e haiñ
girdāb mahv-e-raqs hai tūfān mahv-e-josh
kuchh log shauq-e-mauj meñ sāhil se aa.e haiñ
ye vaz-e-zabt-e-shauq ki dil jal bujhā magar
shikve zabāñ pe aaj bhī mushkil se aa.e haiñ
āñkhoñ kā soz dil kī kasak to na.iiñ milī
maanā ki aap bhī usī mahfil se aa.e haiñ
ye qashqa-e-ḳhulūs hai zaḳhm-e-jabīñ nahīñ
har chand ham bhī kūcha-e-qātil se aa.e haiñ
dil kā lahū nigāh se Tapkā hai bār-hā
ham rāh-e-ġham meñ aisī bhī manzil se aa.e haiñ
dil ik udaas sub.h nazar ik udaas shaam
kaise kaheñ ki dost kī mahfil se aa.e haiñ
chheḌā thā nok-e-ḳhār ne lekin gumāñ huā
taaza payām parda-e-mahmil se aa.e haiñ
haañ gaa.e jā muġhanni-e-bazm-e-tarab ki aaj
naġhme tirī zabāñ pe mire dil se aa.e haiñ
Top Urdushayar.com