Asim Wasti

kahan talash mein jaun ki justuju tu hai

Asim Wasti

1958
kahāñ talāsh meñ jā.ūñ ki justujū tū hai
kahīñ nahīñ hai yahāñ aur chār-sū tū hai
mahāz-e-jañg pe khilte nahīñ haiñ haath mire
maiñ kyā karūñ ki muqābil mirā adū tū hai
badal gayā hai zamāna badal ga.ī duniyā
na ab vo maiñ huuñ mirī jaañ na ab vo tū tū hai
kisī ne uTh ke yahāñ se kahīñ nahīñ jaanā
sajī hai bazm ki mauzū-e-guftugū tū hai
maiñ dekhtā huuñ kise kuchh mujhe nahīñ mālūm
koī bhī sāmne aa jaa.e hū-ba-hū tū hai
tamām ālam-e-sar-mast hai tirī ījād
ye mai-kada hai tirā sāhib-e-subū tū hai
tirī talab ne rakhā inhimāk pākīza
namāz-e-ishq tire vāste vazū tū hai
mirā gunāh bhī shā.ista-e-tavakkul hai
ki tū ḳhudā hai mirā aur ḳhair-ḳhū tū hai
ye aa.ine meñ koī aur shaḳhs hai 'āsim'
ġhalat ḳhayāl hai terā ki rū-ba-rū tū hai
Top Urdushayar.com