Asim Wasti

daman-e-gul mein kahin Khaar chhupa dekhte hain

Asim Wasti

1958
dāman-e-gul meñ kahīñ ḳhaar chhupā dekhte haiñ
aap achchhā nahīñ karte ki burā dekhte haiñ
ham se vo pūchh rahe haiñ ki kahāñ hai aur ham
jis taraf aañkh uThāte haiñ ḳhudā dekhte haiñ
kuchh nahīñ hai ki jo hai vo bhī nahīñ hai maujūd
ham jo yuuñ mahv-e-tamāshā haiñ to kyā dekhte haiñ
log kahte haiñ ki vo shaḳhs hai ḳhushbū jaisā
saath shāyad use le aa.e havā dekhte haiñ
zāviya dhuup ne kuchh aisā banāyā hai ki ham
saa.e ko jism kī jumbish se judā dekhte haiñ
is qadar tāzgī rakhī hai nazar meñ hamne
koī manzar ho purānā to nayā dekhte haiñ
ab kahīñ shahr meñ 'āsim' hai na 'ġhālib' koī
kis ke ghar jaa.e ye sailāb-e-balā dekhte haiñ
Top Urdushayar.com