Abdul Rahman Bazmi

tujhko aghraaz-e-jahan se mawara samjha tha main

Abdul Rahman Bazmi

Nairobi, Kenya

1930
tujh ko aġhrāz-e-jahāñ se māvarā samjhā thā maiñ
paikar-e-iḳhlās tasvīr-e-vafā samjhā thā maiñ
jab liyā nām-e-ḳhudā kashtī kināre lag ga.ī
jaane kis kis bul-havas ko nāḳhudā samjhā thā maiñ
thā kisī zālim kā apnā mudda.ā-e-zindagī
jis ko apnī zindagī kā mudda.ā samjhā thā maiñ
thā kisī gum-karda-e-manzil kā naqsh-e-be-sabāt
jis ko mīr-e-kārvāñ kā naqsh-e-pā samjhā thā meñ
intihā-e-yās meñ ab kyā kahūñ? kis se kahūñ?
ibtidā-e-shauq meñ kis kis ko kyā samjhā thā maiñ
aa gayā jab aa gayā un ko ḳhayāl-e-iltifāt
apne shauq-e-dil ko 'bazmī' nā-rasā samjhā thā maiñ
Top Urdushayar.com