Adeel Shakir

ek taraf wo fikr-e-farda zehn parchhai hui

Adeel Shakir

ik taraf vo fikr-e-fardā zehn parchhā.ī huī
ik taraf ye zindagī yādoñ kī Thahrā.ī huī
laakh koshish kī na baḌh pā.īñ diloñ kī ranjisheñ
par kahāñ ruktī hai shīshe meñ darāḌ aa.ī huī
sard rātoñ kī fazā meñ garm rakhtī hai mujhe
shaal maañ ke kāñpte hāthoñ kī pahnā.ī huī
le uḌī hai terī sāñsoñ kī mahak shāyad havā
kyā sabab varna ki yuuñ phirtī hai itrā.ī huī
vo ḳhushī ke roz-o-shab hoñ yā ki 'shākir' ġham kā daur
kaifiyat vo hī bhalī hai ho jo raas aa.ī huī
Top Urdushayar.com